الله الرحمن الرحيم بسم
We are honored to release a heartfelt Manqabat celebrating the blessed birth of Imam Hussain (AS) on 3rd Sha’ban. This tribute highlights his legacy of courage, sacrifice, and faith, reminding us of his timeless message of justice and truth. May it inspire love and devotion for the Ahlul Bayt (AS)
AGAYE HUSSAIN(AS) AGAYE
Imam Hussain (as) Manqabat 2025
3rd Shabaan
•••••••••••••••••••••••••••••••••
•••••••••••••••••••••••••••••••••
Title 🟢 Agaye Hussain(as) Agaye
Reciter 🟢 Syed Ayaan Ali Naqvi
Poet 🟢 Zeeshan Abidi
Composition 🟢 Zeeshan Abidi
Chorus 🟢 Rizwan Mirza Team
Translation 🟢 Dr. Sayyid Jabir Ali Abidi
Audio & Mixing 🟢 Tee Zee Production (Tirmah Zaidi)
Video & Editing By 🟢 The Focus Studio
Graphics 🟢 MA Creative (Minhaj Ahmed)
****************************
●● Manqabat Lyrics● ●
Agaye Hussain Agaye
Dekh kar Hussain Ko
Apne Dil Kay Chain ko
Muskura Rahi Hain Fatima
Arsh Wale Farsh ko Sajane agaye
Chand aur Sitare Muskurane Agaye
Jashn Ka Samaa Hai Fatima Kay Ghar mein Aaj
Jibraeel Manqabat Sunane Agaye
Sath Hain Malaika
Keh Rahe Hain Marhaba
De Rahe Hain Jhoom kar Sadaa
Goud Mein Utha Kay Mustafa ne di sada
Aaj Mere Deen ko Sahara Mil Gaya
Door Hogain Hain Aaj Sab Udasiyan
Agaye Hussain Mutmain Hai Karbala
Saari Kainat mein
Sab ki Baat Baat mein
Hai Yehi Bas Ek Tazkira
Fitrus Ek Farishta Jo Zameen pe tha para
usske paas jaake Jibraeel ne kaha
Chal Yahan se Chal Tujhe Main lene aya hoon
Mat Udaas ho dar e Hussain Khul Gaya
Fitrus Aaj Par Naye
Mangle Hussain se
Bas Ye Keh kay Phir se Urr Zara
Marzi e Hussain hai Riza e Kirdigaar
Ek Pal mein Hoga Ye Jo kehde aik Baar
Baat Iski Talta Nahi kabhi Khuda
Rahib Aik Bete Kay liye tha Beqarar
Usko Jab Hussain se
Saat Bete Mil Gaye
Muskura Kay wo bhi bol Utha
Haan Yehi To Sher e Kibriya ka Sher Hai
Ye Zabar Hai Aur Kainat Zer Hai
Wo Jalal e Rab e Zuljalal Hai Hussain
Saamne Jo iske Sar uthaye Dher Hai
Zulfiqar Tham Kay
Ran mein Jab Qadam Rakhe
Bhaagte Hain Keh Kay Ashqiya
Zeshan Abidi ho ya Ayaan ho
Har Jaga Bayan Sirf iski Shaan Ho
Ya Hussain Kehna Sab kay Bas mein hi Nahi
Wo kahe ga jiska Acha Khandan ho
ye Jise Pasand hai
Bas Wohi Buland hai
Khush Naseeb Hai jo Bol Uthaa
*****************************