MENU

Fun & Interesting

Maine Puchha Husan Se | Nusrat Fateh Ali Khan | NusratSahib.Com

Bintu Chaudhary 33,344 3 years ago
Video Not Working? Fix It Now

Album : Unknown Singer : Nusrat Fateh Ali Khan Language(s): Hindi/Urdu-Qawwali Tags: #nusratsahib #lyrics #nfak #sufi #nusratfatehalikhan #hindi #urdu #classical #music #rahatfatehalikhan #rfak ------------------------------------------------------------------ Main Ne Poocha Husn Se Khuda ka noor tujh mein hoo bahoo hai Khuda pinhaa magar tu roo baroo hai teri azmat ka andaza ho kis ko Khuda hai aur Khuda ke baad tu hai Rab ne farmaya meri qudrat ki had koi nahi aur mere mehboob ki rehmat ki had koi nahi jab malak samjhe nahi to aadmi samjhe ga kia Aamina ke laal ki azmat ki had koi nahi -Main ne poocha husn se ke dekha hai kahin sarkar sa haseen Husn ne kaha dilbareen ki qasam nahin nahin nahin Waliyon se jawab un ka poocha nabiyon mein misaal un ki dhoondhi Qudsiyon ki anjuman mein main ne azmat e jamal un ki dhoondhi -Poocha Jibraeel se ke dekha hai kahin aisa Shah e Naazneen Bola Jibraeel Zaat e Haq ki qasm nahin nahin nahin Yoon hai kainaat mein Madina jaise ho anghoothi mein naginaa Uss gali ke zarre wo hain jin se so fishaa hai Aasman ka seena -Main ne poocha arsh se ke dekhi hai kahin Madinay si zameen Arsh ne kaha bartari ki qasam nahin nahin nahin aadmi ko aadmi banaya falsfa hayat ka bataya doobte safeena e jahan ko saahil e muraad par lagaya -Main ne poocha Khizar se falak ho ya zameen aesa Haadi hai kahin Khizar ne kaha rahbari ki qasm nahin nahin nahin Lab mere Huzoor (saw) ke hain aise Jaise ho laal wo Yemen kai Surkhi aur taazigi na poocho paani paani hai phool chaman kai -Main ne poocha phool se o baagh ke makeen dekhe aise lab kahin Phool ne kaha pankhirri ki qasm nahin nahin nahin Lamakan kai makeen hain jo ik chattai un ka hai bichonaa Do jahan ke taajdaar ho kar bhi farsh e khaak par hai sona -Poocha Fakhr se ke dekha aisa Shah e Deen jo ho boria nasheen Fakhr ne kaha saadgi ki qasm nahin nahin nahin Zulfain hain mere Huzoor (saw) ki ya rehmaton ki suramaii ghataain GaisooOn ke paich keh rahe hain mujrimon ki ham hi hain panahain -Main ne poocha raat se ke dekhi hai kahin aisi zulf e anmbareen Raat ne kaha zulf hi ki qasm nahin nahin nahin Ae khushaan kamal e Mustafaii jalwa gar hai zaat e kibriaaii Wo dar e Huzoor (saw) hai ae Sajid sajda rez jahan khudaai -Poocha main ne jab ke tu ne dekha ae jabeen aisa aastaan kahin Boli yoon jabeen Bandagii ki qasm nahin nahin nahin ------------------------------------------------------------------ Listen Online » » https://nusratsahib.com/track/?m=iAwQaCQKtyP NusratSahib.Com » » https://nusratsahib.com/watch/?v=kU7kmEvzItI YoutTube » » https://youtu.be/kU7kmEvzItI Lyrics & Download » » https://nusratsahib.com/track/?m=iAwQaCQKtyP ------------------------------------------------------------------ https://nusratsahib.com/ https://www.facebook.com/NusratSahibCom https://twitter.com/NusratSahib https://www.instagram.com/nusratsahibcom/ ------------------------------------------------------------------ I'm Not VIOLATING Any COPYRIGHTED LAW. If Anything Is Against LAW, Please Notify Me So That It Can Be Removed.

Comment