Recital : Ustad Farid Ayaz and Ustad Abu Muhammad
Ghar ki Mehfil, Montreal
24 Sep 2014
This channel brings the unique and intimate gatherings of qawwali rather than the large concert setting. A whole other mood that is original in it's presentation and reflects the traditional give and take with a gathering up close and personal.
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun, na junuu.N rahaa na parii rahii
Na to tuu rahaa na to mai.n rahaa, jo rahii so beKhabarii rahii
shaah-e-beKhudii ne ataa kiyaa mujhe ab libaas-e-barahanagii
na Khirad kii bakhiyaagarii rahii na junuu.N kii pardaadarii rahii
Chalii simt-e-Ghaib se ik havaa, ki chaman zahuur kaa jal gayaa
Magar ek shaaKh-e-nihaal-e-Gham, jise dil kahe.n so harii rahii
Nazar-e-taGaaful-e-yaar kaa gilaa kis zabaa.N so.n bayaa.N karuu.N
Ki sharaab-e-sad-qadaah aarazuu Khum-e-dil me.n thii so bharii rahii
Vo ajab gha.Dii thii mai.n jis gha.Dii liyaa dars-e-nusKhaa-e-ishq kaa
Ke kitaab-e-aql kii taaq me.n jyuu.N dharii thii tyuu.n hii dharii rahii
Tere josh-e-hairat-e-husn kaa asar is qadar so.n yahaa.N huaa
Ki na aaiine me.n rahii jilaa na parii kuu.N jalvaa-garii rahii
Kiyaa Khaak aatish-e-ishq ne dil-e-benavaa-e-"Siraj" ko.n
Na Khatar rahaa na hazar rahaa magar ek beKhatarii rahii
~ Siraj Aurangabadi