Tumhare He Hone Se Abad Hai Dil Tumhe Jab Na Hogaye To Veeran Hoga Qawwali
#Lyrics #Qawwali #BestofNusrat
Shab E Gham Ki Sehar Nahi Hoti
Ho Bhi To Mere Ghar Nahi Hoti
Zindagi Tu He Mukhtasar Ho Ja
Shab E Gham Mukhtasar Nahi Hoti
Jod lagte Gaye Fasaane Mein
Raaz Khulte Gaye Chupane Mein
Roothne Ka Sabab Tum Jaano
Hum To Masroof Hain Manaane Mein
Tum Ne Tinke Samaj K Phoonk Diya
Meri Duniya Thi Aashiyane Mein
muhabbat ki koi manzil nahi hai
muhabbat maajil hai saahil nahi hai
meri afsurdagi pe hasne waale
tere pehlu mein shayad dil nahi hai
tumhara teer e nazar dil ke paar ho ke raha
dil ne dam bhi na maarashikaar ho ke raha
dil ki basti ajeeb basti hai
roz ujadti hai roz basti hai
tumhaare hi hone se aabad hai dil
tumhi jab na hoge to veeran hoga
tumhi se hai hasrat tumhi se hai armaan
na has hasrat hi hoga na armaan hoga
mera dil fida tumpe aur jaan qurbaan
tumhi ho meri zindagani ka saaman
tumhare hi jab kaam aayi ne yeh jaan
toh phir jaan ka kya meri jaan hoga
payaami jo dekha hai us se na kehna
yeh bechainiyaan meri us se na kehna
pareshaaniyaan meri us se na kehna
wo jis dam sunega pareshan hoga
meri jaan tumhare hi kabze mein hai dil
tumhari hi marzi pe hain haalat e dil
jo taskeen doge to taskeen hogi
pareshan karoge to pareshan hogi
jo dil hai yahin dil ki halat yahi hai
jo kuch roz rang e tabiyat yahi hai
salaamat agar josh e wahshat yahi hai
toh ghar hi kisi din bayaaban hoga
nahi gar hifaazat ka saamaan koi
to furqat mein kyun ho pareshan koi
nahi jiska 'Bedam' nigahbaan koi
toh allah uska nigahbaan hoga
Social Links: [FOLLOW]
Facebook: https://fb.com/NusratQawalies/
Twitter: https://twitter.com/NusratQawalies
Instagram: https://instagram.com/NusratQawalies
Google+: https://plus.google.com/114593884354796316364
Don't forget to SUBSCRIBE Nusrat Qawalies for more Awesome Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali