Bazeecha e Atfal Hai Duniya
Poet: Mirza Ghalib
Recital: Ustad Farid Ayaz & Ustad Abu Muhammad
The Dream Journey sessions, Razi Manzil, Karachi, Dec 2016
Lead Vocalist: Ustad Farid Ayaz & Ustad Abu Muhammad
Vocalist: Ali Akbar, Moiz Uddin Haydar, Muftaza Khan, Muhammad Shah, Tehsin Farid & Fattah Ali
Tabla & Dholak: Ghayoor Ahmed & Taimoor Akram
Shot on Location in Karachi, Pakistan
Sound: Mahera Omar
Camera: Mahera Omar
Directed & Edited by: Mahera Omar
Co-produced by: Arif Ali Khan, Asif Hasnain & Mahera Omar
The Dream Journey – Discovering musicians across Pakistan (A Non Profit Project)
This project will be the sharing of a special experience in which we hope you will want to participate.
We are inspired to present the brilliance of contemporary Pakistani vocal music to a wider audience and seek your financial assistance in making this possible. #thedreamjourney
Donate: https://www.paypal.me/dreamjourney2014
Remember to share with your friends.
Subscribe and click on the little bell :-)
#DJ2016
The complete ghazal is below. Credit to Rekhta.com
bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage
hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage
ik khel hai aurañg-e-sulemāñ mere nazdīk
ik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage
juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūr
juz vahm nahīñ hasti-e-ashiyā mire aage
hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hote
ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage
mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhe
tū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage
sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñ
baiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage
phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftār
rakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage
nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrā
kyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage
īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr
ka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage
āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam
majnūñ ko burā kahtī hai lailā mere aage
ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaate
aa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage
hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī ho
aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage
go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai
rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage
ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā
'ġhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage
~Mirza Ghalib